Lyric of Main chali main chali - Padosan


Movie : Padosan
Actors : Sunil Dutt and Saira Banu
Music Director : Rahul Dev Burman
Singers : Lata Mangeshkar
Lyricist : Rajendra Krishan

Main chali main chali dekho pyaar ki gali
mujhe roke na koi main chali main chali
main chali main chali dekho pyaar ki gali
mujhe roke na koi main chali main chali
na na na meri jaan dekho jaana na wahan
koi pyar ka lutera loote na meri jaan
na na na meri jaan dekho jaana na wahan
koi pyar ka lutera loote na meri jaan

ye fiza ye hawa ye nazaare ye sama
ab pyar na hua to phir kab hoga
koi khel to nahi ye hai pyar meri jaan
tujhe pata bhi na chalega ye jab hoga
main chali main chali dekho pyar ki gali
mujhe roke na koi main chali main chali

hai deewani ye jaawani koi samjhaye kya
kab rokne se rukte hain deewane
hai deewani ye jaawani koi samjhaye kya
kab rokne se rukte hain deewane
tu hai abhi nadaan zara soch meri jaan
roz aate nahi din aise mastaane
na na na meri jaan dekho jaana na wahan
koi pyar ka lutera loote na meri jaan
na na na meri jaan dekho jaana na wahan
koi pyaar ka lutera loote na meri jaan

kahin aankh na mili kahin dil na laga
to ye pyar ka zamaana kis kam aaya
to ye rut ye ghata bolo sochegi kya
jo kisi ka na hothon pe naam aaya
main chali main chali dekho pyaar ki gali
mujhe roke na koi main chali main chali
na na na meri jaan dekho jaana na wahan
koi pyar ka lutera loote na meri jaan




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.