Lyrics : ‘Maine hawa ke paron pe’ of Mere Baap Pehle Aap

Movie : Mere Baap Pehle Aap
Actors : Akshay Khanna, Genelia D,Souza, Paresh Rawal and Om Puri
Music Director : Tauseef Akhtar, Vidyasagar
Singers : Udit Nayaran and Shreya Ghoshal

Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re
Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re

Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana
Phoolon mein taaron mein, saare nazaaron mein
Aankhon ne dekha hai chehra tera

Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana

Ho maine khayalon ka jahaan basaaya raaton ko khwaabon mein tujhe chhupaaya
Man ke tarichon mein tujhe sajaaya jaane tu jaane na hoo…
Yaadon ki maine tasveer banaayi, tujhse kahi na har baat chupaayi
Sehti rahi tum jaan judaai, maane tu maane na
Tere hijaab ki khili khili khili hai chandni
Tere shabaab ki saji saji saji hai ragini
Kya karoon kya karoon, jeene na deti hai teri ada
Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana

Hey senorita,
Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re
Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re

Itni haseen kaayenaat hogi, dilkash badi ye raat hogi
Socha nahin tha mulakaat hogi, maine to jaane jaan
Masti mein dooba hai sama sharaabi, hone laga aalam gulabi
Aaye na chain kahin zara bhi, behke mere armaan
Raha kareeb hi zara zara zara sa faasla
Na toota toot ke zara zara zara sa silsila
Aa gaye paas hum saanson mein mehki hai teri wafa

Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana
Phoolon mein taaron mein, saare nazaaron mein
Aankhon ne dekha hai chehra tera

Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

 

No Responses to “Lyrics : ‘Maine hawa ke paron pe’ of Mere Baap Pehle Aap”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.