Lyrics of Aaj kyun hum se parda hai - Sadhana
Movie : Sadhana
Actors : Sunil Dutt and Vyjayanthimala
Music Director : N Dutta
Singers : Mohammad Rafi and Balbir
Lyricist : Sahir Ludhiyanvi
Aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
tera har rang humne dekha hai
ter har dhang humne dekha hai
paas aa kar bhi tujh ko dekha hai
door ja kar bhi tujh ko dekha hai
tujh ko har tarah aazmaaya hai
paa ke khoya hai kho ke paaya hai
ankhdiyo ka bayaan samajhte hain
dhadkano ki zabaan samajhte hain
choodiyon ki khanak se waaqif hain
jhaanjhro ki jhanak se waaqif hain
naazo andaaz jaante hain hum
naazo andaaz jaante hain hum
tera har raaz jaante hain
phir aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
dil lubhaane se fayda kya hai
muh chhupaane se fayda kya hai
ulajhti ulajhti late sanwaar ke aa
husn ko aur bhi nikhaar ke aa
narm gaalon mein bijliyaan le kar
shokh aankhon mein titliyaan le kar
aa bhi ja ab ada se lehra ke
ek dulhan ki tarah sharma ke
tu nahi hai to raat sooni hai
ishq ki qaynaat sooni hai
oye marne waalon ki zindagi tu hai
marne waalon ki zindagi tu hai
is andhere ki roshni tu hai
phir aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
aa tera intzaar kab se hai
har nazar beqaraar kab se hai
shama reh reh ke jhilmilaati hai
saans taaron ki doobi jaati hai
tu agar meharbaan ho jaaye
ye zameen aasmaan ho jaaye
ab to aa ke raat jaati hai
ek aashiq ki baat jaati hai
khair ho poori zindagani ki
dil bhi de to meharbaani ki
tujh pe sau jaan se fida hain hum
tujh pe sau jaan se fida hain hum
ek muddat ke aashna hain hum
phir aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai
aaj kyun hum se parda hai parda hai ji
aaj kyun hum se parda hai
Most Popular Items:
- Lyrics of Baahon mein chale aao - Anamika
- Songs of Parda Hai Parda
- Lyrics of Ye jo chilman hai dushman - Mehboob Ki Mehndi
- Lyrics of Chaand se parda kijiye - Aao Pyar Karen
- Lyrics of Main aisa kyun hoon - Lakshya
- Lyrics of Parde mein rehne do - Shikaar
- Lyrics of Kyun hota hai dil - Short Kut - The Con Is On
- Lyrics of Kyun chalti hai pawan - Kaho Na Pyar Hai
- Lyrics of Na tum jaano na hum - Kaho Na Pyar Hai
- Lyrics: ‘Bheja kum’ of Taare Zameen Par
- Lyrics of Kisne chilman se maara - Baat Ek Raat Ki
- Lyrics : ‘ Kyun kyun wo raaton se’ of Woodstock Villa
- Lyrics of Kyun keeda hai aap ko - Quick Gun Murgun
- Lyrics of Kyun tera bheja kam - Taare Zameen Par
- Lyrics of Main to tum sang nain mila ke - Man Mauji
- Lyrics of Socha Hai Ye Tumne Kya Kabhi - Rock On
- Lyrics of Haaye re wo din - Anuradha
- Lyrics of Aa jaan e jaan - Inteqaam
- Lyrics of Aa jaan e jaan aa - Inteqaam
- Lyrics of Aa jaan e jaan - Inteqaam

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”
Please Wait
Leave a Reply