Lyrics of Aaj preet ne tod di bandhan - Sangdil


Movie : Sangdil
Actors : Dilip Kumar and Madhubala
Music Directors : Sajjad Hussain
Singers : Lata Mangeshkar and Talat Mahmood
Lyricist : Rajinder Krishan

Aaj preet ne tod di bandhan ki deewar
haar maan ke preet se chala gaya sansaar
dil mein sama gaye sajan
phool khile chaman chaman pyaar bhi muskura diya
dil mein sama gaye sajan phool khile chaman chaman
pyaar bhi muskura diya

masti bhari hawa chali hasne lagi kali kali
tum se mujhe mila diya
masti bhari hawa chali hasne lagi kali kali
tum se mujhe mila diya
dil mein sama gaye sajan phool khile chaman chaman
pyaar bhi muskura diya

aisa badal gaya sama badle zameen o aasmaan
aisa badal gaya sama badle zameen o aasmaan
chhod ke jab bana liya pyaar ne ek naya jahaan
pyaar ne ek naya jahaan

aayi ghataayen jhoom ke neel gagan ko choom ke
ghum ka nishaan mita diya
pehle koi khushi na thi dil ki kali khili na thi
teer e nazar chala na tha zindagi zindagi na thi
tere kadam ki aahaten ban gayi muskurahaten
mera jahaan basa diya

aayi jo rut bahaar ki chhid gayi baat pyaar ki
aayi jo rut bahaar ki chhid gayi baat pyaar ki
dil ne tadap tadap ke phir tere liye pukaar ki
tum bhi kahin se aa gaye dheere se muskura gaye
dil ko hasa hasa diya
masti bhari hawa chali hasne lagi kali kali
tum se mujhe mila diya
dil mein sama gaye sajan phool khile chaman chaman
pyaar bhi muskura diya
ghum ka nishaan mita diya
dil ko hasa hasa diya




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.