Lyrics of Aarambh hai prachand bole - Gulaal

Advertisements



Movie : Gulaal
Actors : Deepak Dobriyal, Kay Kay Menon and Mahi Gill
Music Director : Piyush Mishra
Singers : Piyush Mishra
Lyricist : Piyush Mishra

Aarambh hai prachand bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aarambh hai prachand bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan yaa ki jaan kaa ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand

man kare so praan de jo man kare so praan le
wahi to ek sarvshaktimaan hai
man kare so praan de jo man kare so praan le
wahi to ek sarvashaktimaan hai
krishna ki pukaar hai ye bhagwat ka saar hai
ki yudh hi to veer ka pramaan hai
kaurvon ki bheed ho ya paandavon ka need ho
jo lad saka hai wohi to mahaan hai

jeet ki hawas nahi kisi pe koi vash nahi
kya zindagi hai thokaron pe maar do
maut ant hai nahi to maut se bhi kyun dare
ye jaake aasmaan mein dahaad do
aarambh hai prachand bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand

ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunav
ya ki haar ka wo ghaav tum ye soch lo
ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunav
ya ki haar ka wo ghaav tum ye soch lo
ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka
laal laal ye gulaal tum ye soch lo
rang kesari ho ya mridang kesari ho ya
ki kesari ho taal tum ye soch lo
jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet
us kavi ko aaj tum nakaar do
bheegati nason mein aaj phoolati ragon mein aaj
aag ki lapat ka tum baghaar do
aarambh hai prachand bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand aarambh hai prachand
aarambh hai prachand




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Aarambh hai prachand bole - Gulaal”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.