Lyrics of Bade Miyan Deewane Aise Na Bano - Shaagird


Movie : Shaagird
Actors : Joy Mukherjee, Saira Banu and I S Jauhar
Music Director : Laxmikant Pyarelal
Singers : Mohammad Rafi, I S Jauhar, Manna Dey
Lyricist : Majrooh Sultanpuri

la la la la la la la
bade miyan deewane
aise na bano
haseena kya chaahe hum se suno

bade miyan deewane
aise na bano
haseena kya chaahe
yahi to maloom nahi hai
hum se suno

sabse pehle suno miyan
karke varjish bano jawaan
sabse pehle suno miyan
karke varjish bano jawaan

chehra polish kiya karo
thodi maalish kiya karo
istyle se uthe kadam
seena zyada to pet kam
aye kibla ujle baalon ko
rang daalo ban jao gulfaam

bade miyan deewane
aise na bano
haseena kya chaahe hum se suno

seekho kartab naye naye
fashion ke dhab naye naye
seekho kartab naye naye
fashion ke dhab naye naye

dheela dhaala libaas kyun
resham pehno kapaas kyun
fan ye jaadugari ka hai
armaan tumko pari ka hai

to kibla maaro mantar dainty
ban kar niklo waqt e shaam
bade miyan deewane
aise na bano
haseena kya chaahe hum se suno

tanhaayi mein agar kahin
aa jaaye wo nazar kahin
tanhaayi mein agar kahin
aa jaaye wo nazar kahin

kahiye haathon mein haath daal
aye gul chehra pari jamaal
muddat se dil udaas hai
tere honthon ki pyaas hai

aye dilbar mere lab par
kab chhalkega tere lab ka jaam
bade miyan deewane
aise na bano
haseena kya chaahe hum se suno

o bade miyan deewane
aise na bano
haseena kya chaahe
yahi to maloom nahi hai
hum se suno
la la la la la…

is tanhaayi me aye haseen
itni doori bhali nahi
aaya mausam bahar ka
rakh le dil beqaraar ka

mere haathon thon thon
mein haath daal
aye gul chehra pari jamaal
muddat se dil udaas da da..
daas hai tere honthon ki pyaas hai

aye dilbar mere lab par
kab chhalkega tere lab ka
jaa jaa jaam




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.