Lyrics of Bekhudi mein sanam - Haseena Maan Jaayegi

Advertisements



Movie : Haseena Maan Jaayegi
Actors : Shashi Kapoor and Babita Kapoor
Music Director : Kalyanji Anandji
Singers : Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar
Lyricist : Akhtar Romani

Bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye aa gaye aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye aa gaye aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
ho bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye aa gaye aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

aag ye kaisi man mein lagi hai
man se badi to tan mein lagi hai
aag nahi ye dil ki lagi hai
jitni bujhaayi utni jali hai
dil ki lagi na ho to kya zindagi hai
saath hum jo chale mit gaye faasle
aa gaye aa gaye aa gaye paas hum
aa gaye paas hum bekhudi mein sanam
uth gaye jo kadam

khoyi nazar thi soye nazaare
dekha tumhe to jaage ye saare
dil ne kiye jo dil ko ishaare
mil ke chale hum saath tumhare
aaj khushi se mera dil ye pukaare
tera daaman mila pyaar mera khila
aa gaye aa gaye aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam

dil ki kahaani pahunchi zubaan tak
kis ko khabar ab pahunche kahaan tak
pyaar ke raahi aaye yahaan tak
jaayenge dil ki had hai jahaan tak
tum saath do to chale hum aasmaan tak
dil mein armaan liye laakho toofan liye
aa gaye aa gaye aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Bekhudi mein sanam - Haseena Maan Jaayegi”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.