Lyrics of Chhod do anchal zamana - Paying Guest


Movie : Paying Guest
Actors : Dev Anand and Nutan
Music Director : Sachin Dev Burman
Singers : Kishore Kumar and Asha Bhonsle
Lyricist : Majrooh Sultanpuri

Chhod do aanchal zamana kya kahega
o o o chhod do aanchal zamana kya kahega
haan haan haan in adaaon kaa zamana bhi hai deewana
deewana kya kahega
o o chhod do aanchal zamana kya kahega
haan haan haan in adaaon ka zamana bhi hai deewana
deewana kya kahega
o o o chhod do aanchal zamana kya kahega
haan haan haan chhod do aanchal zamana kya kahega

main chali main chali ab khoob chhedo pyaar ke afsane
kuch mausam hai deewana kuch tum bhi ho deewane
main chali ab khoob chhedo pyaar ke afsane
kuch mausam hai deewana kuch tum bhi ho deewane
zara sunna jaan-e-tamanna o zara sunna jaan-e-tamanna
itna to soch ye mausam suhana kya kahega
o o o chhod do aanchal zamana kya kahega
haan haan haan in adaaon kaa zamana bhi hai deewana
deewana kya kahega
haan haan haan chhod do aanchal zamana kya kahega

yun na dekho jaag jaaye pyaar ki angdayi
ye rasta ye tanhayi lo dil ne thokar khaayi
yahi din hain masti ke sin hain
yahi din hain masti ke sin hain
kisko ye hosh hai apna begana kya kahega
o o o chhod do aanchal zamana kya kahega
haan haan haan in adaaon kaa zamana bhi hai deewana
deewana kya kahega
haan haan haan chhod do aanchal zamana kya kahega

ye bahaaren ye phuvarein ye barasta sawan
thar thar kaanpe hai tan man
meri baiyaan dhar lo saajan
ye bahaaren ye phuvarein ye barasta sawan
thar thar kaanpe hai tan man
meri baiyaan dhar lo saajan
aji aana dil mein samana aji aana dil mein samana
ik dil ik jaan hain hum tum zamana kya kahega
o o o chhod do aanchal zamana kya kahega
haan haan haan in adaaon kaa zamana bhi hai deewana
deewana kya kahega




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.