Lyrics of Dil ka haal sune dilwaala - Shree 420

Advertisements



Movie : Shree 420
Actors : Raj Kapoor and Nargis
Music Director : Shankar Jaikishan
Singers : Manna Dey
Lyricist : Shailendra

Dil ka haal sune dilwaala
dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala
aji dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala

chhote se ghar mein gareeb ka beta
main bhi hoon maa ke naseeb ka beta
ho chhote se ghar mein gareeb ka beta
main bhi hoon maa ke naseeb ka beta
ranjo ghum bachpan ke saathi
aandhiyon mein jali jeewan baati
bhookh ne hai bade pyaar se paala
dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala

haaye karoon kya soorat aisi
gaanth ke poore chor ke jaisi
ho haaye karoon kya soorat aisi
gaanth ke poore chor ke jaisi
chalta firta jaan ke ek dil
bin dekhe pehchaan ke ek din
baandh ke le gaya police waala
dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala

boodhe daroga ne chashme se dekha
boodhe daroga ne chashme se dekha
aage se dekha peeche se dekha
upar se dekha neeche se dekha
bole ye kya kar baithe ghotala
haaye ye kya kar baithe ghotala
ye to hai thaanedaar ka saala
dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala

ghum se abhi azaad nahi main
khush hoon magar abaad nahi main
ghum se abhi azaad nahi main
khush hoon magar abaad nahi main
manzil mere paas khadi hai
paanv mein lekin bedi padi hai
taang adaata hai daulat waala
dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala

sun lo magar ye kisi se na kehna
tinke ka leke sahaara na behna
sun lo magar ye kisi se na kehna
tinke ka leke sahaara na behna
bin mausam malhar na gaana
aadhi raat ko mat chillana
warna pakad lega police waala
dil ka haal sune dilwaala
seedhi si baat na mirch masala
keh ke rahega kehne waala
dil ka haal sune dilwaala




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Dil ka haal sune dilwaala - Shree 420”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.