Lyrics of Do kadam tum bhi chalo - Ek Hasina Do Diwane


Movie : Ek Hasina Do Diwane
Actors : Jeetendra, Vinod Khanna and Babita Kapoor
Music Directors : Kalyanji Anandji
Singers : Lata Mangeshkar and Mukesh
Lyricist : Qafil Azar

Do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen
do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen
do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen
manzilen pyaar ki
manzilen phir pyaar ki aayengi chalte chalte
do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen

kal tak to anjaan thi hum se raahen pyaar ki
hum se raahen pyaar ki
lekin apni ho gayi ab to baahen pyaar ki
ab to baahen pyaar ki
ab hamen ye jahaan
ab hamen to ye jahaan dekhega jalte jalte
do kadam tum bhi chalo do kadam hum bhi chalen
do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen

meri jo bhi soch thi us ka hi tum roop ho
us ka hi tum roop ho
main hoon nadiya tum ghata main chhaaya tum dhoop ho
main chhaaya tum dhoop ho
pyaar ye ho jawaan
pyaar ab ye ho jawaan aankhon mein palte palte
do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen
do kadam tum bhi chalo do kadam ham bhi chalen

aisi hi ik shaam thi dekha tha jab aap ko
dekha tha jab aap ko
tum is dhalti shaam ko roko to kuchh baat ho
roko to kuchh baat ho
jaante jaayenge
jaante hum jaayenge shaam ke dhalte dhalte
do kadam tum bhi chalo do kadam hum bhi chale
manzilen pyaar ki
manzilen phir pyaar ki aayengi chalte chalte
do kadam tum bhi chalo do kadam hum bhi chalen




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.