Lyrics of Haan to main kya - Raja Rani

Advertisements



Movie : Raja Rani
Actors : Rajesh Khanna and Sharmila Tagore
Music Director : Rahul Dev Burman
Singers : Mukesh and Lata Mangeshakar
Lyricist : Anand Bakshi

Aasmaan pe chaandni ka ek dariya beh raha tha
haan to main kya keh raha tha
haan to main kya keh raha tha

keh rahe the tum haseena ishq mein mushkil hai jeena
haan mujhe ab yaad aaya jab se maine dil lagaaya
aaj aaj kaun sa din hai shukrawaar hai
waqt yoon hi ja raha hai
thehro koi aa raha hai
koi musafir hai apne raste ja raha hai
tauba main to dar gaya tha
haan to main kya keh raha tha
haan to main kya keh raha tha

keh rahe the tum kahaani jab se aayi hai jawaani
ab suno tum baat aage jab se ye armaan jaage
aaj kaun si tareekh hai aaj chhabbees tareekh hai
pyaar sapne bun raha hai dekho koi sun raha hai
maali hai baagh se kaliyaan chun raha hai
main to dhokha kha gaya tha
haan to main kya keh raha tha

yaad karte ye fasaanaa tum mujhe mat bhool jaana
kya deewana hoon main koi jab se meri neend khoyi
ye kaun sa maheena hai january
rut suhaani jhoomti hai ye police kyun ghoomti hai
haan are baaba tumhe nahi kisi chor ko dhoondhti hai
dard e furkat seh rahe the
haan to tum kya keh rahe the
haan to tum kya keh rahe the
haan to tum kya keh rahe the
haan to main kya keh raha tha




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Haan to main kya - Raja Rani”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.