Lyrics of Hai aapna dil to aawara na jaane- Solvan Saal


Movie : Solvan Saal
Actors : Dev Anand, Waheeda Rehman
Music Director : S D Burman
Singers : Hemant Kumar
Lyricist : Majrooh Sultanpuri

Hai apna dil to aawara
na jaane kis pe aayega
hai apna dil to aawara
na jaane kis pe aayega

haseenon ne bulaya
gale se bhi lagaya
bahot samjhaya yahi na samjha
haseenon ne bulaya
gale se bhi lagaya
bahot samjhaya yahi na samjha
bahot bhola hai bechara
na jaane kis pe aayega
hai apna dil to aawara
na jaane kis pe aayega

ajab hai deewana
na dar na thikana
zameen se begana falak se juda
ajab hai deewana
na dar na thikana
zameen se begana falak se juda
ye ek toota hua taara
na jaane kis pe aayega
hai apna dil to aawara
na jaane kis pe aayega

zamana dekha sara
hai sab ka sahara
ye dil hi hamara hua na kisi ka
zamana dekha sara
hai sab ka sahara
ye dil hi hamara hua na kisi ka
safar mein hai ye banjara
na jaane kis pe aayega
hai apna dil to aawara
na jaane kis pe aayega

hua jo kabhi raazi
to mila nahin kaazi
jaha pe lagi baazi wahin pe haara
hua jo kabhi raazi
to mila nahin kaazi
jaha pe lagi baazi wahin pe haara
zamane bhar ka nakaara
na jaane kis pe aayega
hai apna dil to aawara
na jaane kis pe aayega




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.