Lyrics of Kabhi aar kabhi paar laaga - Aar Paar


Movie : Aar Paar
Actors : Guru Dutt and Shyama
Music Director : O P Nayyar
Singers : Shamshad Begum
Lyricist : Majrooh Sultanpuri

Kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
saiyaan ghaayal kiya re toone mera jigar

kitna sambhala bairi do naino mein kho gaya
kitna sambhala bairi do naino mein kho gaya
dekhti reh gayi main to jiya tera ho gaya
dekhti reh gayi main to jiya tera ho gaya
dard mila ye jeevan bhar ka
maara aisa teer nazar ka
dard mila ye jeevan bhar ka
maara aisa teer nazar ka
loota chain qaraar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
saiyaan ghaayal kiya re toone mera jigar

pehle milan mein ye to duniya ki reet hai
pehle milan mein ye to duniya ki reet hai
baat mein gussa lekin dil hi dil mein preet hai
baat mein gussa lekin dil hi dil mein preet hai
man hi man mein laddoo phoote
naino mein phuljhadiyaan chhoote
man hi man mein laddoo phoote
naino mein phuljhadiyaan chhoote
hontho par taqaraar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
saiyaan ghaayal kiya re toone mera jigar

marzi tihaari chaahe man mein basaao ji
marzi tihaari chaahe man mein basaao ji
pyaar se dekho chaahe aankho se giraao ji
pyaar se dekho chaahe aankho se giraao ji
dil se dil takra gaye ab to
chot jigar par kha gaye ab to
dil se dil takra gaye ab to
chot jigar par kha gaye ab to
ab to ho gaya pyaar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
kabhi aar kabhi paar laaga teer e nazar
saiyaan ghaayal kiya re toone mera jigar
kabhi aar kabhi paar




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.