Lyrics of Kaisi haseen aaj bahaaron - Aadmi


Movie : Aadmi
Actors : Dilip Kumar, Manoj Kumar and Waheeda Rehman
Music Director : Naushad
Singers : Mohammad Rafi and Mahendra Kapoor
Lyricist : Shakeel Badayuni

Kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai
ho dene waale tune to koi kami na ki
ab kis ko kya mila ye muqaddar ki baat hai

chhaaya hai husn o ishq pe ek rang e bekhudi
chhaaya hai husn o ishq pe ek rang e bekhudi
aate hain zindagi mein ye aalam kabhi kabhi
har ghum ko bhool jaao khushi ki baraat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai

aayi hai wo bahaar ki naghme ubal pade
aisi khushi mili hai ki aansoo nikal pade
honthon pe hain duaaen magar dil pe haath hai
ab kis ko kya mila ye muqaddar ki baat hai
masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
meri khushi bhi aap ke daaman men aa gayi
bhanwra kali se door nahi saath saath hai
ab kis ko kya mila ye muqaddar ki baat hai
kaisi haseen aaj bahaaron ki raat hai
ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.