Lyrics of Kyun chalti hai pawan - Kaho Na Pyar Hai


Movie : Kaho Na Pyar Hai
Actors : Hrithik Roshan and Amisha Patel
Music Director : Rajesh Roshan
Singers : Lucky Ali and Ramya
Lyricist : Ibrahim Ashq

Kyun chalti hai pawan kyun jhoome hai gagan
kyun machalta hai mann na tum jaano na hum
na tum jaano na hum
kyun aati hai bahaar kyun loota hai qaraar
kyun hota hai pyaar na tum jaano na hum
na tum jaano na hum

ye madhoshiyaan ye tanhaiyaan
tassavur mein hai kis ki parchhaiyaan
ye bheega samaan umangein jawaan
mujhe ishq le ja raha hai kahaan
kyun gum hai har disha kyun hota hai nasha
kyon aata hai maza na tum jaano na hum
na tum jaano na hum

dhadakta bhi hai tadapta bhi hai
ye dil kyun achanak behakta bhi hai
mehakta bhi hai chehekta bhi hai
ye dil kya wafa ko samajhta bhi hai
kyun milti hain nazar kyun hota hai asar
kyun hoti hai sehar na tum jaano na hum
na tum jaano na hum
kyun chalti hai pawan kyun jhoome hai gagan
kyun machalta hai mann na tum jaano na hum
na tum jaano na hum
kyun aati hai bahaar kyun loota hai qaraar
kyun hota hai pyaar na tum jaano na hum
na tum jaano na hum




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.