Lyrics of Kyun ho gaya deewana main - Ek Aadat


Movie : Ek Aadat
Actors : Aryeman and Smita
Music Director : Sanjay Pathak, Nishad
Singers : Shaan and Sunidhi Chauhan
Lyricist : Sanjay Pathak, Tofique Palvi, Razzo Hathrasi & Vimal Kashyap

Kyun ho gaya deewana main tumhara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun hothon pe mere hi zikr tera hi aane laga hai
kyun aankho mein mere tera hi aks chhaane laga hai
zikr aane laga hai aks chhaane laga hai
kyun dil ko tu lagta hai sabse pyaara
main nahi jaanti main nahi jaanti
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanti main nahi jaanti

ye zindagi itni haseen pehle kabhi lagi hi nahi
tum pyar ban ke jab se mile ho
tab se meherbaan hui hai khushi
kyun soun bhi to muskuraaye chehra mera
kyun jaagun bhi to khwaabon ka ho pehra tera
chehra mera pehra tera
kyun khushnuma sang tere lage nazara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanta main nahi jaanta

haan kehti hoon mein kha ke kasam
dil se tujhe chaaha sanam
na hona juda na hona khafa
chaahe koi bhi tum karna sitam
kyun paane se khone ka dar ab sataaye mujhe
kabhi mujhse hi teri nazar na churaaye tujhe
ab sataaye mujhe na churaaye tujhe
kyun main lagun maajhi to tu kinaara
main nahi jaanti main nahi jaanti
kyun kho raha chain o sukoon hamara
main nahi jaanti main nahi jaanti
kyun ho gaya deewana main tumhara
main nahi jaanta main nahi jaanta
kyun dil ko tu lagta hai sabse pyaara
main nahi jaanti main nahi jaanti
main nahi jaanta main nahi jaanta
main nahi jaanti main nahi jaanti




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.