Lyrics of Kyun hota hai dil - Short Kut - The Con Is On


Movie : Short Kut - The Con Is On
Actors : Akshaye Khanna, Arshad Warsi and Amrita Rao
Music Director : Shankar-Ehsaan-Loy
Singers : Shreya Ghoshal and Javed Ali
Lyricist : Javed Akhtar

Pal pal koi paagalpal kyun hota hai
san san ye tan dhak dhak man kyun hota hai
pal pal koi paagalpal kyun hota hai
san san ye tan dhak dhak man kyun hota hai
kyun rang naye lagte hain kyun dhang naye lagte hain
kyun aise mehek jaate hain kyun ang naye lagte hain
koi ye na jaana kyun hota hai dil deewana
kyun hota hai dil deewana koi ya na jaana

kyun jaagti aankho mein bhi khwaab aate hain
kyun main gaaun to ye patthar bhi gaate hain
kyun lagte hain ujle ujle ye din saare
kyun shaam ko dil mein deepak se jal jaate hain
kyun raat bhi dhal jaati hai kyun koi ghata chhaati hai
kyun dil karta hai tamanna kyun neend nahi aati hai
koi ye na jaana kyun hota hai dil deewana
kyun hota hai dil deewana koi ya na jaana

kyun hothon pe ek naam hamesha rehta hai
kyun sach lagta hai sab wo jo dil kehta hai
kyun armaano ki baarish si hoti hai
kyun sapno ka ek dariya sa behta hai
kyun chaal behak jaati hai kyun saans lehak jaati hai
kyun jal uthte hain tan man kyun aag dehak jaati hai
koi ye na jaana kyun hota hai dil deewana
kyun hota hai dil deewana koi ya na jaana

pal pal koi paagalpal kyun hota hai
san san ye tan dhak dhak man kyun hota hai
kyun rang naye lagte hain kyun dhang naye lagte hain
kyun aise mehek jaate hain kyun ang naye lagte hain
koi ye na jaana kyun hota hai dil deewana
kyun hota hai dil deewana koi ya na jaana
koi ye na jaana kyun hota hai dil deewana
kyun hota hai dil deewana koi ya na jaana
koi ye na jaana kyun hota hai dil deewana
kyun hota hai dil deewana koi ya na jaana




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.