Lyrics of Main sitaaron ka taraana - Chalti Ka Naam Gaadi


Movie : Chalti Ka Naam Gaadi
Actors : Kishore Kumar and Madhubala
Music Directors : Sachin Dev Burman
Singers : Kishore Kumar and Asha Bhonsle
Lyricist : Majrooh Sultanpuri

Main sitaaron ka taraana main bahaaron ka fasaana
le ke ek angdaayi mujh pe daal nazar ban ja deewana
main sitaaron ka taraana main bahaaron ka fasaana
le ke ek angdaayi mujh pe daal nazar ban ja deewana
roop ka tum ho khazaana
tum ho meri jaan ye maana
lekin pehle de do mera paanch rupaiya baara aana
paanch rupaiya baara aana
maarega bhaiya na na na na

maan gar bhool kar dil jigar hum se
nishaani maango na dilruba kya kaha
dil jigar kya hai jawaani maango na
tere liye majnu ban sakta hoon
laila laila kar sakta hoon
chaahe namoona dekh lo haaye
khoon e dil peene ko aur latte jigar khaane ko
khoon e dil peene ko aur latte jigar khaane ko
ye giza milti hai laila
ye giza milti hai laila tere deewaane ko
tere deewaane ko ho ho ho
josh e ulfat ka zamaana laage hai kaisa suhaana
le ke ek angdaayi mujh pe daal nazar banja deewana
maanta hoon hai suhaana josh e ulfat ka zamaana
lekin pehle de do mera paanch rupaiya baara aana
paanch rupaiya baara aana marega bhaiya na na na na

ghum bhula saaz utha raag mere roop ki
tu gaaye ja
haaye dilruba hoye dilruba
haan isi andaaz se farmaaye ja
geet suna sakta hoon daadra
gin kar poore baara maatra chaahe namoona dekh lo haaye
dheere se jaana bagiyan mein
dheere se jaana bagiyan mein re re bhanwra
dheere se jaana bagiyan mein
hoye la la dhing la la
hoye la la haaye ho ho
tu kala ka hai deewaana kam hai kya tujh ko bahaana
le ke ek angdaayi mujh pe daal nazar banja deewaana
haan ye achcha hai bahaana main kala ka hoon deewaana
lekin pehle de do mera paanch rupaiya baara aana
paanch rupaiya baara aana marega bhaiya na na na na

bekhabar pyaar kar dhan ki duniya kya hai
dhalti chhaaya hai haaye haaye haaye
dilruba sach kaha sanch tera pyaar baaki maaya hai
tere liye jogi ban sakta hoon jungle jungle phir sakta hoon
chaahe namoonaa dekh lo haaye
boom kach boom kach boom kach
teri gathri mein laaga chor musafir jaag zara
tu jaag zara
teri gathri mein laaga chor musafir jaag zara
tu jaag zara
teri gathri mein laaga chor chor ho ho ho
main hoon teri jaane jaana aa mujh hi se la lagaana
le ke ek angdaai mujh pe daal nazar ban ja deewana
jai guru maine ye maana tu hain meri jaane jaana
lekin pehle de do mera yaak dui tran char paanch
paanch rupaiya baara aana
paanch rupaiya baara aana maarega bhaiya na na na na
paanch rupaiya baara aana baara aana baara aana




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.