Lyrics of Main zindagi ka saath - Hum Dono

Advertisements



Movie : Hum Dono
Actors : Dev Anand, Nanda and Sadhana Shivdasani
Music Director : Jaidev
Singers : Mohammad Rafi
Lyricist : Sahir Ludhianvi

Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
har fikar ko dhuen mein udaata chala gaya
har fikr ko dhuyen mein uda

barbadiyon ka sog manaana fizool tha
barbadiyon ka sog manaana fizool tha
manaana fizool tha manaana fizool tha
barbadiyon ka jashn manaata chala gaya
barbadiyon ka jashn manaata chala gaya
har fikar ko dhuen me uda

jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
muqaddar samajh liya muqaddar samajh liya
jo kho gaya main us ko bhulaata chala gaya
jo kho gaya main us ko bhulaata chala gaya
har fikar ko dhuen mein uda

ghum aur khushi mein fark na mehsoos ho jahaan
ghum aur khushi mein fark na mehsoos ho jahaan
na mehsoos ho jahaan na mehsoos ho jahaan
main dil ko us mukaam pe laata chala gaya
main dil ko us mukaam pe laata chala gaya
main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
har fikar ko dhuen mein udaata chala gaya




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Main zindagi ka saath - Hum Dono”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.