Lyrics of Na aadmi ka koi bharosa - Aadmi
Movie : Aadmi
Actors : Dilip Kumar, Manoj Kumar and Waheeda Rehman
Music Director : Naushad Ali
Singers : Mohammad Rafi
Lyricist : Shakeel Badayuni
Teri muhabbat pe shaq nahi hai
teri wafaaon ko maanta hoon
magar tujhe kis ki aarzoo hai
main ye haqeeqat bhi jaanta hoon
na aadmi ka koi bharosa na dosti ka koi thikaana
wafa ka badla hai bewafaai
ajab zamaana hai ye zamaana
na aadmi ka koi bharosa
na husn mein ab wo dilkashi hai
na ishq mein ab wo zindagi hai
jidhar nigaahen utha ke dekhun
sitam hai dhokha hai berukhi hai
badal gaye zindagi ke naghme
bikhar gaya pyaar ka taraana
badal gaye zindagi ke naghme
bikhar gaya pyaar ka taraana
na aadmi ka koi bharosa
dawa ke badle mein zeher de do
utaar do mere dil men khanjar
lahoo se seencha tha jis chaman ko
uge hain shole usi ke andar
mere hi ghar ke chiraag ne khud
jala diya mera aashiyaana
mere hi ghar ke chiraag ne khud
jala diya mera aashiyaana
na aadmi ka koi bharosa na dosti ka koi thikaana
wafa ka badla hai bewafaai
ajab zamaana hai ye zamaana
Most Popular Items:
- Lyrics of Bas yahi apradh main - Pehchan
- Lyrics of Bas yahi apradh main - Pehchan
- Lyrics of Aadmi musafir hai - Apnapan
- Lyrics of I got the picture - 8×10 Tasveer
- Lyrics of Zindagi hai kya bolo - Satyakam
- Lyrics of Ruk ja o jaane waali - Kanhaiya
- Lyrics of Koi kya kare chalte chalte - Do Dishayen
- Lyrics of Chhod de saari duniya - Saraswatichandra
- Hit songs of Aadmi
- Lyrics of Zindagi aye zindagi - Zindagi Zindagi
- Lyrics of Aaj purani raahon se - Aadmi
- Lyrics of O neele parbaton ki dhaara - Aadmi aur Insaan
- Lyrics of Zindagi ke safar mein - Aap Ki Kasam
- Lyrics of Kaisi haseen aaj bahaaron - Aadmi
- Songs of Aadmi Khilona Hai
- Songs of Aadmi Sadak Ka
- Lyrics of Dil karta o yaara dildaara - Aadmi Aur Insaan
- Songs of Numbri Aadmi
- Songs of Aadmi Aur Insaan
- Songs of Doosra Aadmi

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”
Please Wait
Leave a Reply