Lyrics of O maajhi re apna kinaara - Khushboo


Movie : Khushboo
Actors : Jeetendra and Hema Malini
Music Director : Rahul Dev Burman
Singers : Kishore Kumar
Lyricist : Gulzar

O maajhi re
o maajhi re apna kinaara nadiya ki dhaara hai
o maajhi re apna kinaara nadiya ki dhaara hai
o maajhi re

sahilon pe behne waale kabhi suna to hoga kahin
ho kagazon ki kashtiyon ka kahi kinaara hota nahi
ho maajhi re maajhi re
koi kinaara jo kinaare se mile wo apna kinaara hai
o maajhi re apna kinaara nadiya ki dhaara hai
o maajhi re

paaniyon mein beh rahe hain kai kinaare toote hue
ho raaston mein mil gaye hain sabhi sahaare chhoote hue
ho maajhi re maajhi re
koi sahaara majhdhaare mein mile jo apna sahaara hai
ho maajhi re apna kinaara nadiya ki dhaara hai
nadiya ki dhaara hai
nadiya ki dhaara hai




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.