Lyrics of Pehle to meri in aankho par - Mere Khwabon Mein Jo Aaye


Movie : Mere Khwabon Mein Jo Aaye
Actors : Randeep Hooda and Raima Sen
Music Director : Lalit Pandit and Siddharath Coutto
Singers : Shreya Ghoshal
Lyricist : Javed Akhtar

Pehle to meri in aankho par baras gaye sapne
phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne
ab dil hai rasta hai manzil hai aur hai ye sapne
jaana hai wahan le jaayein jahan sapne
jaagi jaagi zindagi hai ujli ujli roshni hai
lo ishaare kare sab dishayein
lo pukaarein hamein sab hawaein
hone ko hai ab sachche yahan sapne hey

pehle to meri in aankho par baras gaye sapne
phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne
ab dil hai rasta hai manzil hai aur hai ye sapne
jaana hai wahan le jaayein jahan sapne
meri nayi aankhein hain ya duniya hi badli hai
main chaahe jidhar bhi dekhun
kuchh rang naye hain chhalke
naya naya sa ambar aur nayi si ye dharti hai
hai badal rahi ab jaise ye rut bhi halke halke
mujhse ye nazaare poochte hain saare
tune itne anokhe paaye kahan sapne hey
pehle to meri in aankho par baras gaye sapne
phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne
ab dil hai rasta hai manzil hai aur hai ye sapne
jaana hai wahan le jaayein jahan sapne hey

door se main kyun dekhun ye waqt ka behta dariya
kyun main darun majdhaaron se kyun baithi rahun kinaare
kab tak main khelungi bas phoolon aur kaliyon se
kyun na tod ke main le aaun akaash se taare saare
mujhse ye nazaare poochte hain saare
tune itne anokhe paaye kahan sapne hey
pehle to meri in aankho par baras gaye sapne
phir dekha to raahon mein hai naye naye sapne
ab dil hai rasta hai manzil hai aur hai ye sapne
jaana hai wahan le jaayein jahan sapne
jaagi jaagi zindagi hai ujli ujli roshni hai
lo ishaare kare sab dishayein
lo pukaarein hamein sab hawaein
hone ko hai ab sachche yahan sapne
ho hone ko hai ab sachche yahan sapne
hone ko hai ab sachche yahan sapne




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.