Lyrics of Rona kabhi nahi rona - Apna Desh


Movie : Apna Desh
Actors : Rajesh Khanna and Mumtaz
Music Director : Rahul Dev Burman
Singers : Kishore Kumar
Lyricist : Anand Bakshi

Rona kabhi nahi rona chaahe toot jaaye
koi khilona khilona
sona chup ke se sona chaahe toot jaaye
sapna salona salona
la la la la la la la la
ru ru ru ru ru ru ru ru

dukh sukh ki kya baat hai
kya din hai kya raat hai
aansoo bhi muskaan bane
ye to apne haath hai
aashaaon ki dori mein sada
tum man ke phool pirona
rona kabhi nahi rona chaahe toot jaaye
koi khilona khilona
la la la la la la la la
ru ru ru ru ru ru ru ru

dekho bachchon baagh mein
sab kaliyaan nahi khilti
duniya mein insaan ko
sab cheeze nahi milti
jo apna nahi
tum us ke liye
jo apna hai nahi khona
rona kabhi nahi rona chaahe toot jaaye
koi khilona khilona
la la la la la la la la
ru ru ru ru ru ru ru ru
la la la la la la la la

rang se aur na dhaam se
jaat se aur na naam se
izzat milti hai yahan
dekho achhe kaam se
koi kaam bura
tum mat karna
badnaam kabhi nahi hona
rona kabhi nahi rona chaahe toot jaaye
koi khilona khilona
sona chup ke se sona chaahe toot jaaye
sapna salona salona
rona chacha nahi rona
chaahe toot jaaye
koi khilona khilona
la la la la la la la la




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.