Lyrics of Wo bhooli daastaan lo phir - Sanjog

Advertisements



Movie : Sanjog
Actors : Pradeep Kumar and Anita Guha
Music Director : Madan Mohan
Singers : Lata Mangeshkar
Lyricist : Rajinder Krishan

Wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi
nazar ke saamne ghata si chhaa gayi
nazar ke saamne ghata si chhaa gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi

kahaan se phir chale aaye ye kuchh bhatke hue saaye
ye kuchh bhoole hue naghme jo mere pyaar ne gaaye
ye kuchh bichhdi hui yaadein ye kuchh toote hue sapne
paraaye ho gaye to kya kabhi ye bhi to the apne
na jaane inse kyon mil kar nazar sharma gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi

ummeedon ke haseen mele tamannaon ke wo rele
nigaahon ne nigaahon se ajab kuchh khel se khele
hawa mein zulf lehraayi nazar pe bekhudi chhaayi
khule the dil ke darwaaze muhabbat bhi chali aayi
tamannaon ki duniya par jawaani chhaa gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi

bade rangeen zamaane the taraane hi taraane the
magar ab poochhta hai dil wo din the ya fasaane the
faqat ik yaad hai baaki bas ik fariyaad hai baaki
wo khushiyaan lut gayi lekin dil e barbaad hai baaki
kahaan thi zindagi meri kahaan par aa gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi
nazar ke saamne ghata si chhaa gayi
nazar ke saamne ghata si chhaa gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi
wo bhooli daastaan lo phir yaad aa gayi




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Wo bhooli daastaan lo phir - Sanjog”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.