Lyrics of Ye chand sa roshan chehra - Kashmir Ki Kali

Movie : Kashmir Ki Kali
Actors : Shammi Kapoor and Sharmila Tagore
Music Director : O. P. Nayyar
Singers : Mohammad Rafi
Lyricist : Shailendra

Ye chaand sa roshan chehra zulfon ka rang sunehra
ye jheel si neeli aankhein koi raaz hai inme gehera
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
ye chaand sa roshan chehra zulfon ka rang sunehra

ek cheez qayamat bhi hai logon se suna karte the
tumhe dekh ke maine maana wo theek kaha karte the
wo theek kaha karte the
hai chaal mein teri zaalim kuchh aisi bala ka jaadu
sau baar sambhaala dil ko par ho ke raha bekaboo
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
ye chaand sa roshan chehra zulfon ka rang sunehra
ye jheel si neeli aankhein koi raaz hai inme gehera
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya

har subah kiran ki laali hai rang tere gaalon ka
har shaam ki chaadar kaali saaya hai tere baalon ka

saaya hai tere baalon ka
tu balkhaati ek nadiya har mauj teri angdaayi
jo in maujo mein dooba usne hi duniya paayi
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
ye chaand sa roshan chehra zulfon ka rang sunehra
ye jheel si neeli aankhein koi raaz hai inme gehera
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya

main khoj mein hoon manzil ki aur manzil paas hai mere
mukhde se hata do aanchal ho jaayein door andhere
ho jaayein door andhere
maana ki ye jalwe tere kar denge mujhe deewana
jee bhar ke zara main dekhun andaaz tera mastaana
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
ye chaand sa roshan chehra zulfon ka rang sunehra
ye jheel si neeli aankhein koi raaz hai inme gehera
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya
tareef karun kya uski jisne tumhe banaaya

Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 
No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.