Lyrics of Ye raatein ye mausam - Dilli ka Thug

Advertisements



Movie : Dilli ka Thug
Actors : Kishore Kumar and Nutan Behl
Music Director : Ravi
Singers : Kishore Kumar and Asha Bhonsle
Lyricist : Majrooh Sultanpuri

Ye raatein ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa
ye raatien ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa
kaha do dilo ne ki mil kar kabhi hum
na honge juda
ye raatien ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa

ye kya baat hai aaj ki chaandni mein
ye kya baat hai aaj ki chaandni mein
ke hum kho gaye pyaar ki raagini mein
ye baahon mein baahein ye behki nigaahein
lo aane laga zindagi ka maza
ye raatein ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa

sitaaron ki mehfil ne kar ke ishaara
sitaaron ki mehfil ne kar ke ishaara
kaha ab to saara jahaan hai tumhaara
muhabbat jawaan ho khula aasaman ho
kare koi dil aarzoo aur kya
ye raatein ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa

kasam hai tumhe tum agar mujh se roothe
kasam hai tumhe tum agar mujh se roothe
rahe saans jab tak ye bandhan na toote
tumhein dil diya hai ye vaada kiya hai
sanam main tumhaari rahungi sada
ye raatein ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa
kaha do dilon ne ki mil kar kabhi hum
na honge juda
ye raatein ye mausam nadi ka kinaara
ye chanchal hawa




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Lyrics of Ye raatein ye mausam - Dilli ka Thug”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.