Lyrics of Zulfon ko aap yoon na - Chandan Ka Palna


Movie : Chandan Ka Palna
Actors : Dharmendra and Meena Kumari
Music Director : Rahul Dev Burman
Singers : Mohammad Rafi and Asha Bhonsle
Lyricist : Anand Bakshi

Zulfon ko aap yoon na sanwara karo
zulfon ko aap yoon na sanwara karo
ishq warna kisi din behak jaayega
nazro se aap yoon na ishaara karo
husn warna kisi din behak jaayega
nazro se aap yoon na ishaara karo

jahaan bhi jab bhi nazar aate ho
ghazab karte ho sitam dhaate ho
to kaun kahta hai ke aap chhup chhup ke nazaara karo
to kaun kahta hai ke aap chhup chhup ke nazaara karo
zulfon ko aap yoon na sanwara karo
ishq warna kisi din behak jaayega
nazro se aap yoon na ishaara karo

tumhare liye to muhabbat hogi
hamare liye wo qayamat hogi
jo pyaar karna hai to ranj bhi khushi se ganwara karo
jo pyaar karna hai to ranj bhi khushi se ganwara karo
nazro se aap yoon na ishaara karo
husn warna kisi din behak jaayega
zulfon ko aap yoon na sanwara karo

ye halat dekho huyi jaati hai
na chain aata hai haaye na neend aati hai
jo haal hai hamaara wo haal na hamaara
khuda na karo jo haal hai hamaara
wo haal na hamaara
khuda na karo
zulfon ko aap yoon na sanwara karo
ishq warna kisi din behak jaayega
nazro se aap yoon na ishaara karo
husn warna kisi din behak jaayega
zulfon ko aap yoon na sanwara karo




Most Popular Items:

Get latest updates via email, enter email address

Get your own blog for free
 

No Responses to “Door Gagan Ki Chhaon Mein songs”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.